Kabhi socha na tha ke yun khamosh ho jaoge tum,
Jis baat pe hanste the, usi pe ro jaoge tum…
Main ne to sirf dil diya tha tumhe,
Tum ne badle me yaadein de di—jo bhool na paoge tum…
------------------
Tum aaye bhi to jaane ke liye aaye the,
Warna is dil ko yun aadat na lagate…
Ab har jagah tum hi tum nazar aate ho,
Kash tum itni yaadein na chhod jaate
Tum jab mere paas aaoge
Mujhe tanha hi paoge
Mera dil ab bhi uski yaadon mein
Khoya hua sa paoge
--------------------
Tumhe yaad kiya, to likh diya,
Ik tarfa hi sahi, ishq to hai…
Usay nahi, humein to hai,
Hum yaad karte hain, chahe wo kare ya na kae
Dil rota hai, magar chehra muskuraata hai,
Hum bhi hijab karte hain, wo bhi karte hain
Magar kya karein,
Dono ka maqsad-e-hijab alag hai
------------
Kaun jaane ke main bhi akela hoon
Bheed mein reh kar bhi tanha hoon
Har mod par mila ek naya chehra
Magar koi mera na ban saka
Jaise main kisi ka hona chaha
------------
Tune bhi thukraya kisi ko, RaheRaas…
Ab Khuda se kya gila karein…
Jo likha tha taqdeer mein, wo mil gaya…
Qalam uthai to sirf dard nikla…
Aur neend ab humse rooth gayi